sakhtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main hae kya achchhi kahi zalim hun main jahil hun main main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairai na thi jo numud-e-haq se mit jata hai wo baatil hun main ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast wae mahrumi khazaf chain lab sahil hun main hai meri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghafil hun main bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho tu to ek taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main dhundhta phirta hun main 'iqbaal' apne-ap ko aap hi goya musafir aap hi manzil hun main