saki aaj pyala anand ka pila munj wa yaqut adhran ki masti dila munj mahal diste hain nur ke at safa sun saki lya sajan kun mana kar bula munj gagan se tabaq motiyan sun bhari hun piya aarti tain piyo kun hila munj tere neh bin jiwna munj na bhawe masiha naman aap dam sun jila munj adhar tere bin munj na bhawen aqiqan badan tere bin nin hai neka tala munj tere husn bin haur munj nain mein kad na aawe ki hai is setin ibtila munj nabi sadqe 'qubta' ali mehr sete bandha dil kahin nin unan bin wala munj