sakin-e-alam-e-barbaad nahin samjhenge

sakin-e-alam-e-barbaad nahin samjhenge
arsh ki baaten zamin-zad nahin samjhenge

ek muddat se qafas mein rahe panchhi khud ko
ho ke aazad bhi aazad nahin samjhenge

ye zamin hai yahan jannat nahin banne wali
baat ye asr ke shaddad nahin samjhenge

muskurane ki adakari mujhe aati hai
mujh ko ghar wale bhi nashad nahin samjhenge

'abr' de denge tujhe dad ye sunne wale
is ghazal mein hai jo fariyaad nahin samjhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close