saliqa hi na aaya ashk-ha-e-dida-e-tar se

saliqa hi na aaya ashk-ha-e-dida-e-tar se
barasne ki jagah thahre thaharne ki jagah barse

tere dar tak mere nalon ki shan-e-na-rasai bhi
kuchh aisi hai ki jaise tir takra jae patthar se

abhi hangama-ara dil mein hai ek ishrat-e-rafta
abhi tak teri khushbu aa rahi hai mere bistar se

bhare ghar mein mere josh-e-junun se khauf-e-ruswai
mujhe ifsha-e-raaz-e-ishq ka khatka bhare ghar se

main phir aaghaz-e-ulfat ka natija sochne baithun
mujhe tum gudguda kar phir nikal jao barabar se

mujhe to 'shad' ke har sher mein taid milti hai
kisi ru-e-munawwar se kisi zulf-e-moambar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close