saliqa ishq mein mera bade kamal ka tha ki ikhtiyar bhi dil par ajab misal ka tha main apne naqsh banati thi jis mein bachpan se wo aaina to kisi aur khat-o-khal ka tha rafu main karti rahi pairahan ko aur idhar guman use mere zakhmon ke indimal ka tha ye aur baat ki ab chashm-posh ho jae kabhi to ilm use bhi hamare haal ka tha mohabbaton mein main qail thi lab na khulne ki jawab warna mere pas har sawal ka tha darakht jad se ukhadne ke mausamon mein bhi hawa ka pyar shajar se ajab kamal ka tha kitab kis ki masafat ki likh rahi hai hawa ye qarz us ki taraf kis ke mah o sal ka tha