samajh ke sare sahaaron ko raegan humne

samajh ke sare sahaaron ko raegan hum ne
utar phenka hai kashti ka baadban hum ne

ye kam subut hai mahshar mein be-gunahi ka
ki apne honton pe pheri nahin zaban hum ne

jo baat chhedi hai hum ne hamein bhi ilm nahin
ki khatm karna hai is baat ko kahan hum ne

dabe dabe hain azal se isi liye hum log
uthae rakkha hai kandhon pe aasman hum ne

undel li hai jahannum ki aag sine mein
ragon mein bhar liya dozakh ka sab dhuan hum ne

faqat gulon ko nahin nazm-e-gulistan se gila
suna hai ghaur se kanton ka bhi bayan hum ne

hum ek duje se darte hain is liye 'rahat'
rakha hai jannat-o-dozakh ko darmiyan hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close