samajh raha tha main ye din guzarne wala nahin khula ki koi bhi lamha thaharne wala nahin koi bhi rasta kisi samt ko nahin jata koi safar meri takmil karne wala nahin hawa ki abr ki koshish to puri puri hai magar dhuwen ki tarah main bikharne wala nahin main apne-ap ko bas ek bar dekhunga phir is ke baad kisi se bhi darne wala nahin charagh-e-jaan liye kis dasht mein khada hun main koi bhi qafila yan se guzarne wala nahin main kya karun koi taswir gar adhuri hai main apne rang to ab us mein bharne wala nahin