samajhte kya hain in do chaar rangon ko udhar wale tarang aai to manzar hi badal denge nazar wale isi par khush hain ki ek dusre ke sath rahte hain abhi tanhai ka matlab nahin samjhe hain ghar wale sitam ke war hain to kya qalam ke dhaar bhi to hain guzara khub kar lete hain izzat se hunar wale koi surat nikalti hi nahin hai baat hone ki wahan zoam-e-khuda-wandi yahan jazbe bashar wale mafailun ka paimana bahut hi tang hota hai jabhi to sher hum kahte nahin hain dil jigar wale gharon mein the to wusat dasht ki hum ko bulati thi magar ab dasht mein aae to yaad aate hain ghar wale jo mustaqbil se pur-ummid ho wo shaer-e-mutlaq 'shuja-khawar' se apni fikr ki islah karwa le