samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai magar main kya karun lahja bhi mera sukh jata hai use talab jharne jhil se jhadna zaruri hai safar mein tanha chalne wala dariya sukh jata hai bharosa ek marham ki tarah maujud rahta hai agar ye pas ho to zakhm sara sukh jata hai usulon ki chamak jate hi chehra bujh gaya us ka jaden katte hi jaise ped sara sukh jata hai koi kaisa bhi rishta ho nami behad zaruri hai hawa rukhi ho to koi bhi pauda sukh jata hai