samet kar teri yaadon ke phul daman mein basa raha hun bahaaron ko dil ke gulshan mein abhi ziya-e-tasawwur se aankh raushan hai abhi bahaar-e-charaghan hai dil ke aangan mein tere baghair hai be-rang raunaq-e-gulshan ye aur baat ki khulte hain phul gulshan mein ghataon se to barasti hon bijliyan jaise kahan se aaengi thandi hawaen sawan mein chhupa diya meri nazron se khud mujhe us ne utar gai hai jo taswir dil ke darpan mein kahin nazar mein nahin dur dur tak sahil bhanwar ki naw ke manind jaan hai tan mein qarib-e-dil bhi hain wo dur bhi hain nazron se kuchh apne-pan ki jhalak bhi hai ajnabi-pan mein ruki ruki si hai raftar-e-zindagi jaise hazar khun ragon mein hai jaan hai tan mein baras pade meri aankhon se yak-ba-yak aansu kisi ki yaad jab aai baraste sawan mein pata nahin hai 'rishi' dur dur manzil ka kidhar ko jaen hamein raat ho gai ban mein