samne ho kar bhi kab sab par ayan hote hain log

samne ho kar bhi kab sab par ayan hote hain log
jo nazar aate hain waise hi kahan hote hain log

chhap se mahaul ki bachna bahut dushwar hai
apne gird-o-pesh hi ke tarjuman hote hain log

pastiyon mein bhi nazar aate hain azmat ke nishan
khak par rahte hue bhi aasman hote hain log

qafila salar jab hote hain uf wo saaten
hae wo lamha ki jab be-karwan hote hain log

zulm par bandhen kamar to al-aman-o-al-hafiz
misl-e-changez ek bala-e-be-aman hote hain log

mehrban ho jaen to ranj-o-alam ki dhup mein
ped ki surat ghanera saeban hote hain log

naqsh-e-pa tak bhi nahin milte kahin un ke 'naim'
dekhte hi dekhte yun be-nishan hote hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close