samne rah kar na hona masala mera bhi hai is kahani mein izafi tazkira mera bhi hai be-sabab aawargi masruf rakhti hai mujhe raat din bekar phirna mashghala mera bhi hai baat kar farhad se bhi intiha-e-ishq par mashwara mujh se bhi kar kuchh tajraba mera bhi hai kya zaruri hai andhere mein tera tanha safar jis pe chalna hai tujhe wo rasta mera bhi hai hai koi jis ki lagan gardish mein rakhti hai mujhe ek nukte ki kashish se daera mera bhi hai be-sabab ye raqs hai mera bhi apne samne aks wahshat hai mujhe bhi aaina mera bhi hai ek gum-karda gali mein ek na-maujud ghar kucha-e-ushshaq mein 'asim' pata mera bhi hai