samne un ke taDap kar is tarah fariyaad ki

samne un ke tadap kar is tarah fariyaad ki
main ne puri shakl dikhla di dil-e-nashad ki

ab yahi hai wajh-e-taskin khatir-e-nashad ki
zindagi main ne dayar-e-husn mein barbaad ki

hosh par bijli giri aankhen bhi khira ho gain
tum to kya the ek jhalak si thi tumhaari yaad ki

chal diya majnun to sahra se kisi jaanib magar
ek sada gunji hui hai nala o fariyaad ki

naghma-e-pur-dard chheda main ne is andaz se
khud-ba-khud mujh par nazar padne lagi sayyaad ki

dil hua majbur jis dam ashk-e-hasrat ban gaya
ruh jab tadpi to surat ban gai fariyaad ki

is harim-e-quds mein kya lafz o mani ka guzar
phir bhi sab baaten pahunchti hain lab-e-fariyaad ki

tamtama uthe wo aariz mere arz-e-shauq par
husn jag utha wahin jab ishq ne fariyaad ki

aashiyan mein ab kisi surat nahin padta hai chain
thi nazar tasir mein dubi hui sayyaad ki

sher mein rangini-e-josh-e-takhayyul chahiye
mujh ko 'asghar' kam hai aadat nala o fariyaad ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close