samundar tha kabhi sahra hua hai wo kya tha aur dekho kya hua hai nahin malum us ko hashr apna parinda jal par baitha hua hai gunah-e-ishq mein kaisi rihai tumhaare sath to dhoka hua hai kisi ne haal puchha tab ye jaana hamein to nam tak bhula hua hai nishani aakhiri ye hai kisi ki jo aansu aankh mein thahra hua hai munasib tha tumhaara ruth jaana magar ye kya ki sab rutha hua hai chamak mahfil mein jis chehre ki hai wo musalsal raat bhar roya hua hai