samundaron ko muhit thi chandni kanwal ki hawaon ki batriyon se kirnon ki aankh chhalki kashid karta hun jugnuon ki hararton se hare farishton ki chob-dari mein zau azal ki lahu charaghon ka munjamid tha giraniyon se padaw dale thi gul ke roghan mein dhup halki ye kachche patton pe lahariya narmiyon ki bunden nihaal karne lagi jigar ko mithas jal ki lawon ke sae mein qissa-khwan ki hikayaten hain idhar khile gul udhar charaghon ki aankh dhalki kise thi qudrat ki dol dale nazafaton ka khuda ki chaupahliyon pe dachi udi ghazal ki