sanbhal sanbhal ke yahan zindagi basar ki hai badi tawil kahani thi mukhtasar ki hai tu mujh ko khak samajhta hai khak samjha kar magar ye dekh ki ye khak kis ke dar ki hai wo jis ki chhanw mein aane se jism jal jae teri misal to ai dost us shajar ki hai tumhaari yaad ka marham lagae phirte hain ye chot tum ne jo di hai wo umr bhar ki hai na sirf panw hue zehn-o-dil bhi shal jis mein thakan to aaj bhi 'qaisar' usi safar ki hai