saneha ho ke raha chashm ka murjha jaana khwab lagta hai tera khwab mein bhi aa jaana aankh ta-der rahi mauja-e-gham-nak mein tar hasan ka khel tha aaine ko chamka jaana tu sar-e-baam hawa ban ke guzarta kyun hai mere malbus ki aadat nahin lahra jaana dasht ke lab pe hai is qatra-e-naisan ka maza tu kahan jaan saka main ne tujhe kya jaana tukhm bota hai koi hath meri mitti mein mujh ko aasan hai bahut chhanw ka phaila jaana