sang-e-tiflan ka hadaf jism hamara nikla hum to jis shahr gae shahr tumhaara nikla kis se ummid karen koi ilaj-e-dil ki chaaragar bhi to bahut dard ka mara nikla jaane muddat pe teri yaad kidhar se aai rakh ke dher mein poshida sharara nikla dil pe kya jaane guzar jati hai kya pichhle-pahar os tapki to kahin subh ka tara nikla jate jate diya is tarah dilasa us ne bich dariya mein koi jaise kinara nikla koi sahra ka hawala na samundar ki misal jo bhi duba hai jahan dost hamara nikla bul-hawas zid mein sahi dar-o-rasan se guzra ab pasheman hai ki sauda ye khasara nikla