sang ek aur gira dil ke nihan-KHane mein

sang ek aur gira dil ke nihan-khane mein
ashk girte hi rahe phir use bahlane mein

main samajh pai na ai dil rahi ye kis ki khata
aa gai kyon main tere dam mein anjaane mein

us ki baaton mein agarche thi wafa ki khushbu
der phir bhi na lagi dhoka mujhe khane mein

jhut ko deta hai wo sach ka labaada kaisa
lutf aata hai bahut us ke is afsane mein

farq kya mujh ko pada ek shikast aur sahi
hai ajab sa hi nasha mat ke kha jaane mein

sharmsar apne kahe par nahin hai 'fatima' wo
sharm aati hai use apne hi sharmane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close