sang ko takiya bana khwab ko chadar kar ke jis jagah thakta hun pad rahta hun bistar kar ke ab kisi aankh ka jadu nahin chalta mujh par wo nazar bhul gai hai mujhe patthar kar ke yar logon ne bahut ranj diye the mujh ko ja chuka hai jo hisab apna barabar kar ke us ko bhi pad gaya ek aur zaruri koi kaam main bhi ghar par na raha waqt muqarrar kar ke puchhna chahta hun us nigah-o-dil se 'jamal' kis ko aabaad kiya hai mujhe be-ghar kar ke