sang par phul khilane ka hunar aata hai mujh ko ehsas jagane ka hunar aata hai aaine mujh se khafa rahte hain kyunki mujh ko sher mein shakl dikhane ka hunar aata hai kaun hai koi nahin rab ke alawa jis ko aag ko phul banane ka hunar aata hai aankh ko khwab dikhaen sabhi lekin mujh ko khwab ko khwab dikhane ka hunar aata hai is tawassut se bhi pariyan mujhe pahchanti hain chand par rang jamane ka hunar aata hai aankh ke par mere dekh nahin sakta koi dard-e-dil mujh ko chhupane ka hunar aata hai ye hunar mujh ko wirasat mein mila purkhon se dasht mein khak udane ka hunar aata hai main samundar nahin ek abr hun 'shadab' jise dasht ki pyas bujhane ka hunar aata hai