sang us ke hi safar ho kyunkar zist pahle si basar ho kyunkar ji jo chahe hai ki mar jaun main raat se pahle sahar ho kyunkar ab kahan quwwat-e-goyai hai un ki baaton ka asar ho kyunkar zindagi ek safar hai sach hai ho guman koi magar ho kyunkar jab jiye koi kisi ki khatir is ko apni bhi khabar ho kyunkar dil hi pahlu se nikal jae jo aah hairan bhi jigar ho kyunkar ruh sarshaar kare wo 'hasrat' mai-kade par bhi nazar ho kyunkar