sanjida tabiat ki kahani nahin samjhe aankho mein rahe aur wo pani nahin samjhe ek sher hua yun ki kaleje se laga hai dariya mein utar kar bhi rawani nahin samjhe kya khat mein likha jae ki samjhae unhen hum jo samne rah kar bhi zabani nahin samjhe bachpan ko lutaya hai jawani ke liye yar hum log jawani ko jawani nahin samjhe pahle to kaha 'raw' koi sher sunao phir dost meri baat ke mani nahin samjhe