saqi ki har nigah mein sahba thi jam tha kal shaghl-e-mai-kashi ka hamein izn-e-am tha hum kushta-e-khizan sahi ai dosto magar aasuda-e-bahaar hamara hi nam tha mere baghair aaj wo kitne hain shadman jin ko mere firaq mein jina haram tha dekha jo mai-kade mein use aur badh gaya meri nazar mein shaikh ka jo ehtiram tha hum be-niyaziyon ka gila tujh se kya karen ai dost apna jazba-e-ulfat hi kham tha un se nazar mili ki nai zindagi mili un ki nigah-e-naz mein kaisa payam tha dar-o-rasan ko chum ke qurban ho gaya 'jaanbaz' bil-yaqin ye tera hi kaam tha