saqi phir aaya saghar-e-sahba liye hue ya meri zindagi ka sahaara liye hue aankhon mein hain wo chashma-e-sahba liye hue ya aab-e-zindagi ke hain dariya liye hue baitha hun intizar mein ek hila-ju ke phir rag-rag mein iztirab ki duniya liye hue tajdid-e-wada phir hui tamhid-e-iztirab phir khirman-e-umid hai shoala liye hue nazr-e-nigah-e-nargis-e-mastana ho gaya aaya tha shaikh khirqa-e-taqwa liye hue mera sukut matlab-e-be-lafz ho to ho main aaun aur arz-e-tamanna liye hue is tarah us ki bazm se dil le chala hun main jis tarah koi jae janaza liye hue phir kar raha hun ghaur wajuhat-e-ishq par us paikar-e-jamal ka naqsha liye hue zalim ka har sitam hai tawajjoh ki ek dalil us ki jafa wafa ka hai naqsha liye hue phir ja raha hai 'bedil'-e-afsurda dekhiye ghaarat-gar-e-sukun ki tamanna liye hue