sar-e-ashufta par purkhon ki pagDi bandh rakkhi hai

sar-e-ashufta par purkhon ki pagdi bandh rakkhi hai
kisi ka nam likh kar main ne mutthi bandh rakkhi hai

koi to rasta mujh ko dikhae meri manzil ka
mohabbat ne meri aankhon pe patti bandh rakkhi hai

bahut betab hai gharqab hone ko wo dariya mein
mere honton pe khushki ne jo kashti bandh rakkhi hai

kahin is bar bhi pyasi teri yaaden na rah jaen
so aankhon ne meri palkon se naddi bandh rakkhi hai

teri yaadon ke jhonkon se kahin khul kar na gir jae
bichhad ke tujh se dil par jo tasalli bandh rakkhi hai

zara parda hata kar khol de ab dast-e-nazuk se
dariche ne nazar meri tarasti bandh rakkhi hai

teri tarif ke pul bandhne mein hai magan dhadkan
hawa be-tabiyon ne dil mein kaisi bandh rakkhi hai

ana meri bana dale na us ko maut ka phanda
mere pairon mein tu ne jo ye rassi bandh rakkhi hai

safar mein dusre rakht-e-safar aate hain kab tak kaam
so ab un ki duaon ki ye gathri bandh rakhi hai

andhere dum dabae phir rahe hain bad-hawasi mein
hawa mere charaghon ne kuchh aisi bandh rakkhi hai

zamin-e-dil pe meri ek parinda aisa utra hai
ki jis ne quwwat-e-parwaz meri bandh rakkhi hai

nahin 'shahbaz' mujh se aag ki lapten nahin liptin
badan se main ne apni aap-biti bandh rakkhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close