sar-e-gulshan bahaar aane ke din hain yahi to ishq farmane ke din hain nahin samjhoge tum khwab-e-mohabbat abhi tum par shabab aane ke din hain lagao mat abhi ulfat ka sadma tumhaare din to muskane ke din hain ye dil kahta hai tum ko bhul jaun nazar kahti hai apnane ke din hain hawa mein khushbuen aati hain teri hamare zakhm sahlane ke din hain jise dekho wahi hai khud mein khoya kahan 'dildar' bahlane ke din hain