sar-e-khayal main jab bhul bhi gai ki main hun achanak ek ajab baat ye suni ki main hun talash kar ke mujhe lutne ko tha koi mere wajud ki khushbu pukar uthi ki main hun ki tirgi mein pali aankh ko yaqin aa jae zara buland ho aahang-e-raushni ki main hun wo khali jaan ke ghar lutne ko aaya tha mare adu ko khabar aaj ho gai ki main hun na-jaane kaisi nigahon se maut ne dekha hui hai nind se bedar zindagi ki main hun lapet do saf-e-matam utha rakho nauhe pukarta sar-e-mahshar suna koi ki main hun