sar kata kar sifat-e-shama jo mar jate hain nam raushan wahi aafaq mein kar jate hain lakhon ka khun bahaenge wo jab honge jawan jo ladakpan mein lahu dekh ke dar jate hain jumbish-e-tegh-e-nigah ki nahin hajat aslan kaam mera wo ishaaron hi mein kar jate hain un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai takhsis koi shisha ho pari ban ke utar jate hain barq ki tarah se betab jo hain ai 'nadir' tar-ghar kis ki wo lene ko khabar jate hain