sar paTakti rahi dasht-e-gham ki hawa unki yaadon ke jhonke bhi chalte rahe

sar patakti rahi dasht-e-gham ki hawa un ki yaadon ke jhonke bhi chalte rahe
sham se ta-sahar ghar ki dahliz par hum charaghon ki manind jalte rahe

husn ki dhup ne zulf ki chhanw ne nur ke shahr ne rang ke ganw ne
har qadam par thaharne ko aawaz di hum ko chalna tha kanton pe chalte rahe

shahr ke mod par kal mile the mujhe mere bachpan ke din mere bachpan ki shab
gahe aankhen milin gahe palken jhukin gahe rukte rahe gahe chalte rahe

kaunsa nam den aisi barsat ko jis ke daman mein pani bhi hai aag bhi
huk uthti rahi ruh jalti rahi dil pighalta raha ashk dhalte rahe

ek manzil nahin ek rasta nahin ek dil ek jaan ek chehra nahin
ye naqabon ki duniya ke bahrupiye bhes lamha-ba-lamha badalte rahe

shahr-dar-shahr ye khak-o-khun ki faza sochi-samjhi hui ek tahrik hai
unche mahlon mein baithe rahe ahl-e-zar muflison ke makanat jalte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close