sar pe aafat hai musibat hai bacha le mujh ko ladkhadate hain qadam koi sanbhaale mujh ko main masaib mein bhi jine ki dua mangunga log kahte hain ki duniya se utha le mujh ko main wo gauhar hun jo sine mein daba hun us ke koi mallah samundar se nikale mujh ko main kamata hun magar ab bhi maza dete hain mere man bap ke hathon ke niwale mujh ko ek bade arse se main ruth gaya hun khud se ho sake garche koi aa ke mana le mujh ko naz aaega muqaddar pe mujhe tab 'ahmad' jab koi aa ke nasib apna bana le mujh ko