sar pe ab saeban nahin pyare so kahin bhi aman nahin pyare kaun deta hai ye sadaen agar apna koi wahan nahin pyare manzil-e-ishq ho nasib na ho ye safar raegan nahin pyare na raha khud pe e'tibar mujhe tujh se to bad-guman nahin pyare kar-e-dil hai so is liye is mein fikr-e-sud-o-ziyan nahin pyare