sar pe harf aata hai dastar pe harf aata hai tang hon log to sardar pe harf aata hai waise to main bhi bhula sakta hun tujh ko lekin ishq hun so mere kirdar pe harf aata hai ghar ki jab baat nikal jati hai ghar se bahar dar pe harf aata hai diwar pe harf aata hai kitna be-bas hun ki khamosh mujhe rahna hai bolta hun to mere yar pe harf aata hai chup jo rahta hun to hun barsar-e-mahfil mujrim arz karta hun to sarkar pe harf aata hai shikwa-e-jaur-o-jafa lab pe agar aa jae dil pe harf aata hai dildar pe harf aata hai