sar uthaya mazhabi diwar par patka hua rah par aane laga dil rah se bhatka hua ras-kashi ki dawaten dete rahe taza gulab jhadiyon mein tha magar titli ka par atka hua tazkira hone laga jab aastin ke sanp ka pas hi ehsas mujh ko sarsarahat ka hua tishna-e-didar mein hi to nahin hun in dinon us ke ghar ke aaine ka bhi hai munh latka hua ajnabi mahaul mein kho jaane ka dar hai to kya tham lun daman tera mein barha jhatka hua