sara aalam teri khalwat mein ganwa baithe hain aks hum aankh ki hairat mein ganwa baithe hain ab kisi aur safar ke liye qail na karo zindagi sari masafat mein ganwa baithe hain ek dhadka hi raha tujh se bichhad jaane ka wasl ko wasl ki haalat mein ganwa baithe hain dasht-e-imkan mein har su hain bagule uthte dil-e-wahshi tujhe wahshat mein ganwa baithe hain tujh se to qarz-e-tamanna bhi ada ho na saka naqd-e-dil teri zarurat mein ganwa baithe hain chand yaadon ko pas-andaz kiya tha lekin khud-faramoshi ki aadat mein ganwa baithe hain