sara badan hai khun se kyun tar use dikha shah-rag kati hai jis se wo nashtar use dikha aaegi kaise nind dikha wo hunar use phir is ke baad khwab ko chhu kar use dikha aankhon se apne ashk ke taron ko tod kar sukhi nadi ke dard ka manzar use dikha dukh-sukh jo dhup chhanw ka ek khel hai to phir suraj ke sath baadalon ke par use dikha aae jo koi shishe ka paikar liye hue to apne dasht-e-shauq mein patthar use dikha puchhe jo zindagi ki haqiqat koi 'jamal' to chutkiyon mein ret uda kar use dikha