sara iman imkan ki rah mein bas tumhaare shaghaf se chala aata hai

sara iman imkan ki rah mein bas tumhaare shaghaf se chala aata hai
hur sar-e-karbala jaise shabbir ki samt dushman ki saf se chala aata hai

main tumhaara to mehwar nahin jaanta han magar main kisi ki nigahon mein hun
girne lagta hun to thamne ke liye hath koi najaf se chala aata hai

kan har aib par thap ke muntazir aankh tak teri kamzoriyon par rahi
dosta tu kahan rengta rengta mere kurte ke kaf se chala aata hai

dekh chilla zaruri hai az-rah-e-pakizgi-e-nafs ta-ba farda-e-hashr
ba'd muddat koi zarra jun ban ke moti dahan-e-sadaf se chala aata hai

khamushi ilm hai is liye sahib-e-marifat bolte hain bahut soch kar
jaise dhaga udhadta hua ek tartib ke sath ghaf se chala aata hai

yaad main 'alwi' jis ke liye to dua ba'd masjid ke mandir mein bhi ho chuki
tu mujhe kya haraegi meri madad ko khuda har taraf se chala aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close