sarab hai ki nahin kyon janab hai ki nahin

sarab hai ki nahin kyon janab hai ki nahin
hamari zindagi misl-e-habab hai ki nahin

hamari baat ka naseh jawab hai ki nahin
gunah-e-ishq pe koi azab hai ki nahin

sabaq padhenge mohabbat ka tujh se par ye bata
teri kitab mein sukha gulab hai ki nahin

sabaq kyon amn ka hum hi padhen kitabon mein
tumhaare pas bhi koi kitab hai ki nahin

milawaton se hamein hai gurez ai saqi
hamare waste khalis sharab hai ki nahin

azab-e-duniya se mar kar to chhut jaenge
jahan mein jina musalsal azab hai ki nahin

ai ishq tu ne mujhe jis tarah kharab kiya
meri tarah se koi aur kharab hai ki nahin

likha hai bab-e-mohabbat mein phir bhi batla tu
nigah-e-yar se pina sawab hai ki nahin

hadon se badhne lagi sar-kashi hasinon ki
nae zamana mein 'danish' hijab hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close