sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye

sarasar un ko gulistan-e-arzu kahiye
ruken to rang samjhiye chalen to bu kahiye

hamari tishnagi-e-shauq ki hai baat kuchh aur
ye wo nahin jise dauran-e-guftugu kahiye

mujhe shikast ka ilzam bhi qubul magar
muqabil aaiye barbaad-e-justuju kahiye

sawal-e-shauq ka aksar jawab banti hai
teri nazar ki khamoshi ko guftugu kahiye

hamari tishna-labi ko na kar saki sairab
wo guftugu ki rawani ki aab-ju kahiye

har inqalab ki lahar apne mai-kade mein hai
kise sharab samajhiye kise lahu kahiye

chaman-badosh hai har wadi-e-nazar 'nazish'
meri hayat ko kashmir-e-arzu kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close