sard mausam ki khata thi na zamane ki thi shama ko jis ne bujhaya wo hawa meri thi imtihan roz liya karta hai mera ab wo aazmane ki kabhi jis se guzarish ki thi kar chuka tha main samundar se kinara kab ka jis jagah duba tha main kahte hain sahil ki thi hijr-o-qurbat ke bane itne fasane kaise chandni chhat pe meri itni kahan bikhri thi kyun tapish mujh mein hai kyun jism siyah hota hai rahguzar mein to mere dhup kahan utri thi ab koi khwab na aankhon mein tasawwur hai 'bashar' warna aankhon mein meri nind kahan rahti thi