sard mausam mein kidhar jaun nikal kar ghar se

sard mausam mein kidhar jaun nikal kar ghar se
ye gali dhup ka sarmaya ganwa baithi hai

ab ke kis karb ki gulshan mein bahaar aai hai
habs pahlu mein liye baad-e-saba baithi hai

apni aawaz ka jadu na jagaun kyunkar
ek koyal jo mere kandhe pe aa baithi hai

ye jo chidiya mere aangan mein chahakti thi sada
kaun se ped ki tahni pe wo ja baithi hai

us ki roti hui aankhon se pata chalta hai
apne mahbub se ho kar wo juda baithi hai

hai tera fan tere dukh-dard pe ghaalib 'zarqa'
ban ke mahfil mein tu taswir-e-wafa baithi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close