sard sannaTon ki sab sargoshiyan le jaunga

sard sannaton ki sab sargoshiyan le jaunga
main jahan bhi jaunga dil ki zaban le jaunga

shahar chhodunga to roengi milon ki chimniyan
dekhna ek roz main sara dhuan le jaunga

wo jahan chahe chala jae ye us ka ikhtiyar
sochna ye hai ki main khud ko kahan le jaunga

sath-e-dariya raqs mein hai aaj mujh ko dekh kar
aaj main us par apna karwan le jaunga

wo agar do-chaar qatron se nawazega to kya
ek ek qatre mein bahr-e-be-karan le jaunga

manzaron ko kya khabar hogi ki un ke waste
qurbaten taqsim kar ke duriyan le jaunga

jin andheron se tumhein har-waqt wahshat hai khayal
un andheron tak tumhaari dastan le jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close