sard thithuri hui lipti hui sarsar ki tarah zindagi mujh se mili pichhle december ki tarah kis tarah dekhna mumkin tha kisi aur taraf main ne dekha hai tujhe aakhiri manzar ki tarah hath rakh lams bhari tez nazar ke aage chirti jati hai sina mera khanjar ki tarah barishen us ka lab-o-lahja pahan leti thin shor karti thi wo barsat mein jhanjhar ki tarah kachchi mitti ki mahak odh ke itraati thi main use dekhta rahta tha samundar ki tarah pallu girta hua sadi ka utha kar 'mansur' chalti hai chhalki hui dudh ki gagar ki tarah