sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai

sare kushton se juda dhang iztirab-e-dil ka hai
kyun na ho bismil bhi to kis chulbule qatil ka hai

chhup nahin sakta wo khun apne dil-e-bismil ka hai
mit nahin sakta jo dhabba daman-e-qatil ka hai

imtihan madd-e-nazar kis manchale bismil ka hai
marka aara jo yun har naz us qatil ka hai

be-ijazat uth ke sina se lagae aap ko
hausla itna bhi ek arman wale dil ka hai

aap ko yaad aa gain hain kis ki bazm-araiyan
hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil ka hai

us taraf machla hua hai wasl mein wo chulbula
is taraf josh-e-iztirab aarzu-e-dil ka hai

wasl ki shab khun karna aarzu-e-wasl ka
o tamannaon ke dushman kaam ye qatil ka hai

marka-araiyan hain aaj husn-o-ishq ki
samna is jalwa-gah mein dilruba se dil ka hai

apne aadhi raat ko aane ka bais kyun bane
wo kahin qail bhi jazb-e-ulfat-e-kaamil ka hai

maut aai hai mujhe o bahr-e-khubi wasl mein
mera beda dubne wala lab-e-sahil ka hai

sina se sina mila dena to kuchh mushkil nahin
yar mushkil to tere dil se milana dil ka hai

shokhi-e-qatil mein hai bismil ka rang-e-iztirab
rang bismil ki tadap mein shokhi-e-qatil ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close