sargarm-e-tamasha tha dil mahw-e-ada barson samjha hi nahin nadan mafhum-e-wafa barson aashufta-mizaj aakhir jaen to kahan jaen har gam pe yaron ne dhoka hi diya barson ek bar guzarta hai dil dard ki rahon se rag rag se tadapti hai tasir-e-dua barson wo aalam-e-madhoshi wo masti-e-rindana gul-rang jawani thi kya hosh-ruba barson aaghosh-e-tasawwur mein sau bar go aate hain lekin na qarib aae wo jaan-e-haya barson go 'mir' ke nalon mein tasir-e-junun kam thi aisa bhi kahan hoga ab shoala-nawa barson