sari basti mein rafiq-e-mo'atabar koi nahin aisi virani ki ta-hadd-e-nazar koi nahin is liye mahfil mein shayad jalwa-gar koi nahin sab tamasha-gar hain lekin dida-war koi nahin bhid to aisi hai rahon par ki chalna hai muhaal meri tanhai ki mera ham-safar koi nahin hum to khushbu hain bikhar jate hain gul se chhut kar hum yahan be-ghar hue phir apna ghar koi nahin band hota hai agar ek dar to khulte hain hazar ye na kahna ab ki tera dad-gar koi nahin fart-e-gham mein hum usi manzil pe ja pahonche jahan ham-zaban koi nahin hai ham-safar koi nahin aaina tute to mil jate hain sadha shishagar dil agar tute to us ka chaaragar koi nahin be-niyaz-e-sang-e-dar jab tak tha main dar the hazar ab jo sang-e-dar ki hasrat hai to dar koi nahin allah allah fitna-e-ayyam ki nairangiyan har taraf shisha-shikan hain shishagar koi nahin hum 'musawwir' un ko dhundhen bhi to ab dhundhen kahan the jahan raste wahan ab rahguzar koi nahin