sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge waise chhup ke hans bhi lenge waise tanha ro lenge ujde dil ki basti wale itne ghafil hote hain kho bhi gae to is mele mein kisi ke sang bhi ho lenge baadal garje bijli kadke ya sawan bhadon barsen hum sadkon pe rahne wale chuppi sadh ke so lenge yaro tum ye fikr na karna kis ke sar ilzam lage hum to apne khun se apne donon hath bhigo lenge jab bhi dard se dil tadpega tukde tukde hogi ruh kisi andhere kamre mein hum dil mein dard samo lenge hum ne sari umr akele maut ka rasta dekha hai jab bhi aai kisi bhi chaukhat par sar rakh ke so lenge chupke chupke kafan lapete niklenge jab hum ghar se lakh bulaoge ro ro kar hargiz aankh na kholenge