sarishk-e-khun sar-e-mizhgan kabhi piroe na the hum itna hansne ke baad is tarah se roe na the sitam ye hai ki wo khurshid katne aae tamam umr sitare jinhon ne boe na the ab aap apni tamannaon se hun sharminda ye dagh wo hain jo main ne lahu se dhoe na the bahe wo ashk ki gharqab ho gain aankhen safine is tarah hum ne kabhi duboe na the charagh lao koi aaftab hi dhunden hum is qadar kabhi tarikiyon mein khoe na the ek aah-e-sard ke baad aankhen mund lin 'mohsin' ye kya hua kabhi thandi hawa mein soe na the