sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi hai dil ko sukun bhi dekh ke ye aur zehn-e-rasa hai hairan bhi ye bhi hai qarina ek shayad hasti mein tawazun rakhne ka kuchh raaz ayan kar logon par kuchh haal magar rakh pinhan bhi ek zarb ana ne zer-o-zabar kar dala mohabbat ka mehwar ab us se panah rab chahen the jis pe kabhi hum nazan bhi is daur-e-zehanat mein jab jab dastur-e-aman par baat hui aaya hai katahre mein aksar tab sath hamare yazdan bhi ek lahza sitam ek lamha karam hum par hai ye ehsan un ka sada raazi bhi hun ek saat mein magar ho jate hain pal mein nalan bhi hai aql samajhne se qasir pahlu ye tamaddun ka ab tak malbus jahan hain mard bahut aurat hai wahin par uryan bhi apna to nahin kuchh logon ko ye dekh ke hairani hai bahut hain jis se gile-shikwe bhi hamein rahte hain usi par nazan bhi shair hain amal ke maidan se kuchh dur to us mein hairat kyun ghazlon ki zaminon par un ko dekhoge bahut sargardan bhi us se bhi pata chalta hai ki han khallaq-e-do-alam hai koi har shai hai alag pahchan liye ek nazm hai sab mein yaksan bhi ab hum mein nahin wo josh-e-junun us mein bhi nahin wo baat ki jo rahat ka sabab the dil ke liye jaanan nahin zikr-e-jaanan bhi qismat ke andhere mein bhi rahi aankhon mein meri ek kahkashan tarik nahin kar pae kabhi khwabon ko sawad-e-zindan bhi nafrat se mohabbat se aksar hum ne hi likhi taqdir teri hum ne hi zamin-e-gul tujh ko jannat bhi kiya aur viran bhi takrar-e-sitamgar se behtar rukhsat lo yahan se 'athar'-ji ye kaam to tum kar sakte ho ye kaam lage hai aasan bhi