saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj

saste mein un ko bhulna achchha laga hai aaj
chae ka ek ghunt bhi kafi raha hai aaj

rassi se jhulti hui ladki nahin hai ye
ye na-murad-e-ishq hai latka hua hai aaj

kis ne kaha hai khair hai main to nahin gira
wo to shajar se aakhiri patta gira hai aaj

jhagda hun bad-guman se chikha hun phone par
ye satwan tha phone jo toda gaya hai aaj

dastak samajh ke dar pe tu yun daud ke na ja
kal bhi hawa ka kaam tha phir bhi hawa hai aaj

dariya ko khinch lane de sahra ke darmiyan
matka gharib-zadi ka pyasa pada hai aaj

dil but-kada raha to tu pahlu-nashin tha
kaba bana tu teri jagah pe khuda hai aaj

'rahib' zaban par meri chhaale se pad gae
dekha jo dar pe yar ke tala pada hai aaj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close